kabhi kabhi bahut ajeeb si stithi ho jati hai khush bhi nahi ho sakte hai dukhi bhi nahi. Mein khush hu par woh dukhi hai woh mere apne hai mein kaise khush rah sakti hu unko dukhi dkeh kar ... ..par mein kya karu kaise uski help karu kuchh smajh nahi aata hai. bhgwan aise kyo karta hai khushi deta hia to uske sath dukh bhi deta hai ..//mere sath hi hamesha aisa kyo hota hai jab bhi mein khush hoti hu aansu ke sath hi khushi kyo ati hai ...nahi bhgwan ab aur nahi aap itni pariksha mat lo ki logo apa ki existance mein belive karna band kar de...
kahna to mujhe bahut kuchh hai par kah nahi pa rhia hu ..
Wednesday, December 29, 2010
Wednesday, December 22, 2010
Gujarish ...
Aap ne Gujarish dekhi .. mujhe director se bahut sari gujarishekarni hai for e.g. ki please puri film mein blue light use karna kum karo aur history se baahr aao... gujarish mein jab tv par news chalti hoti hai to woh aaj ke jamane ki chal rahi hoti hai par herione ka dress 17 th century ka aur woh sham ko candle le kar ghumti hai light ka kya hua ? ? us ke baad boat se ghar jati hai .. kuchh samjh nahi aaya :)
lagta hia direcotr se sab jitni jayda ummed lagaye bithe the woh pressure mein aa gaye aur bahiyaa aap sab ko to pata hi hia na ki pressure mein aadmi kuchh nahi kar sakta :)
First half tak badi mushkil se movie dkehi par uske baad dkhene ki ichaa hi kahtma ho gayee gujarish ki ki please yeh film band kar do ....
aap mein se kisi ko achhi lagi to ho bataiye ?

ladki hona sach mein ek bahut bari baat hai .ladki ki jindagi aasan nahi hai.pida ek ghar hoti hai jindagi dusre ghar gujarti hai. kahi ek gaana suna tha ki ab jo kiye ho maula aisa na kijo agale janam mohe ladki na kijo .... kitni badi baat hia is ek line mein ... jab shadi hoti hai ladki ko na jane kitne imotional expericne hote hai. yeh sab sahna aasan nahi hai.
us ke sath bhi wahi hua ,shaid ke baad wapas ja rhia thi to sab khush the bus ma hi baar baar puchh rhia thi ki sara saman rakh liya, ticket karwa liya dhyan se baki sab khush the ki acha hai ja rhia hia bhai to apni patni aur bachho ke sath khush/busy tha uski apni life hai bus ma baap hi ko lagta hia ki beit aayee hia beti ja rhia hai. yeh baat wiase badi normal lagti hai ki aisa to hur ladki ke sath hota hia par agar bariki se socha jaye to kitni ajeeb baat hia ki aisa kaise ho jata hia ki bhai bahan sath sath bade huye aur ek din aisa bhi aata hia ki kisi ko dusre ke jane aane se koi farak nahi padta hia . bahut paraya lagta hia sab kuchh ...pahle jis almari mein saman rakhti thi woh ab meri nahi hai mera ghar hia to kaun sa ? pati ka jaha mera kuchh nahi hia bus mujhe uske rakh rakhav karna hai thik se kiya to thoda jagah mil jaygi use karne ko nahi to waha bhi kuchh nahi ...pita ka ? woh to mera raha hi nahi waha to kisi aur ka adhikar ho gaya hia .... bahut galat rule hai dunia ke ..
ladki ko sahare ki jarurat hoti hai uska mann komal hota hia usko ghar mein rakhana chiaye na ki bete ko .. ladke to tough hote hia unko ghar se baahr ja kar dusre ke ghar rahna chiaye ....agar woh ek din bhi dang se rah le to baat hia ...mujhe nahi lagta hia ki yeh ho payega ... aaj sare world mein dkeh lijiye aurato ki halat kahi bhi tihk nahi hia koi kitni bhi pad likh le badi position parp ahuch jaye kahi na kahi aurat ko hi samjhuta karna padta hia ...

Subscribe to:
Posts (Atom)